اردو हिंदी
Jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai | Shaahi Shayari
jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai

Ghazal

Jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai

Habeeb Ahmad Siddiqui

;

jabin-e-nawaz kisi ki fusun-gari kyun hai
sarisht-e-husn mein is darja dilkashi kyun hai

kisi ki sada jabin kyun bani hai sehr-taraaz
kisi ki baat mein ejaz-e-iswi kyun hai

kisi ki zulf-e-moambar mein kyun hai girai
fida-e-gesu-e-mushken ye zindagi kyun hai

tere shiar-e-taghaful pe zindagi qurban
tere shiar-e-taghaful mein dilkashi kyun hai

kahin ziya-e-tabassum na ho karam-farma
jumud-e-qalb mein haijaan-e-zindagi kyun hai

ye kab kaha hai ki tum wajh-e-shorish-e-dil ho
ye puchhta hun ki dil mein ye bekali kyun hai

nigah-e-naz ki wabasta-e-jigar thi kabhi
bata fareb-e-tamanna ki sarsari kyun hai

bhaTak bhaTak ke main nakaam-e-justuju hi raha
KHamosh mere liye sham-e-rahbari kyun hai

hayat-o-maut na apni na main hi KHud apna
mere wajud pe ilzam-e-zindagi kyun hai

rag-e-hayat mein dauDa ke barq-e-sartabi
KHata-muaf ye ilzam-e-KHud-sari kyun hai

bisat-e-dahr sahi jalwa-gah-e-husn-e-azal
nigah-e-shauq fughan-sanj-e-tishnagi kyun hai