jabhi to zaKHm bhi gahra nahin hai
jo sang aaya hai wo pahla nahin hai
kabhi chehre the aaine nahin the
ab aaina hai aur chehra nahin hai
ye ek shaer ki jis ko 'shauq' kahte
kabhi ek haal mein rahta nahin hai
kabhi har lafz eajaz-e-masiha!
kabhi yun jaise kuchh kahna nahin hai
kabhi aankhen samundar si saKHi hain
kabhi dariya mein ek qatra nahin hai
bahut hain us ki darweshi ke charche
magar darwesh bhi aisa nahin hai
na ras aaya to ye bhi chhoD denge
tera darwaza hai duniya nahin hai
Ghazal
Jabhi to zaKHm bhi gahra nahin hai
Razi Akhtar Shauq