jab zist ke mushkil lamhon mein apne bhi kinara karte
us waqt bhi hum ai ahl-e-jahan hans hans ke guzara karte hain
sayyaad ne tere asiron ko aaKHir ye kah kar chhoD diya
ye log qafas mein rah kar bhi gulshan ka nazara karte hain
jazbaat mein aa kar marna to mushkil si koi mushkil hi nahin
ai jaan-e-jahan hum tere liye jina bhi gawara karte hain
manjdhaar mein naw Dub gai to maujon se aawaz aai
dariya-e-mohabbat se 'kausar' yun par utara karte hain
Ghazal
Jab zist ke mushkil lamhon mein apne bhi kinara karte
Kausar Niyazi