jab zara tez hawa hoti hai
kaisi sunsan faza hoti hai
hum ne dekhe hain wo sannaTe bhi
jab har ek sans sada hoti hai
dil ka ye haal hua tere baad
jaise viran sara hoti hai
rona aata hai hamein bhi lekin
is mein tauhin-e-wafa hoti hai
munh-andhere kabhi uTh kar dekho
kya tar o taza hawa hoti hai
ajnabi dhyan ki har mauj ke sath
kis qadar tez hawa hoti hai
gham ke be-nur guzargahon mein
ek kiran zauq-faza hoti hai
gham-gusar-e-safar-e-rah-e-wafa
mizha-e-abla-pa hoti hai
gulshan-e-fikr ki munh-band kali
shab-e-mahtab mein wa hoti hai
jab nikalti hai nigar-e-shab-e-gul
munh pe shabnam ki rida hoti hai
hadsa hai ki KHizan se pahle
bu-e-gul gul se juda hoti hai
ek naya daur janam leta hai
ek tahzib fana hoti hai
jab koi gham nahin hota 'nasir'
bekali dil ki siwa hoti hai
Ghazal
Jab zara tez hawa hoti hai
Nasir Kazmi