اردو हिंदी
Jab zara naghmon se bulbul gul-fishan ho jaega | Shaahi Shayari
jab zara naghmon se bulbul gul-fishan ho jaega

Ghazal

Jab zara naghmon se bulbul gul-fishan ho jaega

Qadr Bilgarami

;

jab zara naghmon se bulbul gul-fishan ho jaega
Tokari phulon ki sara aashiyan ho jaega

jab uThega josh-e-mai ban jaega wo aaftab
jab uDega KHum ka sar-posh aasman ho jaega

jism-o-jaan ka faisla sara usi ke hath hai
panw teri tegh ka KHud darmiyan ho jaega

moajiz-e-shaqqul-qamar dikhlaegi angusht-e-husn
chand tere partawe se KHud katan ho jaega

rind han ammama-e-zahid pe hun hath-pheriyan
kashti-e-mai ka ek achchha baadban ho jaega

sar pe chhan chhan kar balaen aaengi KHamosh 'qadr'
aah khinchoge to chhalni aasman ho jaega