jab zara hui aahaT shaKH par hile patte
peD so gae lekin jagte rahe patte
saikaDon parindon ne oDh li rida jaise
raat ki siyahi mein oT ban gae patte
surKH KHun shaKHon ka hai wajud mein shamil
dekh kar faza lekin sabz ho gae patte
jaise un ke daman par dhul thi na dhabba tha
ek zara si barish se kaise dhul gae patte
jab bhi lu chali yaro sabz rut badalne ko
taliyan bajaenge phir yahi hare patte
jangalon mein KHamoshi habs ki alamat hai
tazgi si dete hain bolte hue patte
be-libas ho kar bhi peD to rahe qaem
hijraton ke mausam ne dar-ba-dar kiye patte
ab chaman ki rakhwali mashghala hai bachchon ka
phul jab nahin pae nochne lage patte
Ghazal
Jab zara hui aahaT shaKH par hile patte
Murtaza Birlas