jab zabanon mein yahan sone ke tale paD gae
dudhiya chehre the jitne wo bhi kale paD gae
Dubne se pahle suraj ke nikal aata hai chand
hath dho kar sham ke pichhe ujale paD gae
bulbule pani pe mat samjho hawaen qaid hain
sans lene ke liye maujon ko lale paD gae
jab se us par ek chullu pyas ke shoale gire
tab se sare jism mein dariya ke chhaale paD gae
kya bata paengi wo manzar ka pas-e-manzar hamein
KHud-numai kar ke jin aankhon mein jale paD gae
Ghazal
Jab zabanon mein yahan sone ke tale paD gae
Nazeer Baaqri