اردو हिंदी
Jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae | Shaahi Shayari
jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae

Ghazal

Jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae

Abu Mohammad Sahar

;

jab ye dawe the ki har dukh ka mudawa ho gae
kis liye tum bais-e-KHun-e-tamanna ho gae

shauq ka anjam nikla hasrat-e-aghaz-e-shauq
raaz ban jaane se pahle raaz ifsha ho gae

ek nigah-e-ashna ka aasra jata raha
aaj hum tanhaiyon mein aur tanha ho gae

tera milna aur bichhaDna kya kahen kis se kahen
ek jaan-e-na-tawan par zulm kya kya ho gae