اردو हिंदी
Jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak | Shaahi Shayari
jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak

Ghazal

Jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak

Irfan Siddiqi

;

jab ye aalam ho to likhiye lab-o-ruKHsar pe KHak
uDti hai KHana-e-dil ke dar-o-diwar pe KHak

tu ne miTTi se ulajhne ka natija dekha
Dal di mere badan ne teri talwar pe KHak

hum ne muddat se ulaT rakkha hai kasa apna
dast-e-dadar tere dirham-o-dinar pe KHak

putliyan garmi-e-nazzara se jal jati hain
aankh ki KHair miyan raunaq-e-bazar pe KHak

jo kisi aur ne likkha hai use kya malum
lauh-e-taqdir baja chehra-e-aKHbar pe KHak

chaar diwar-e-anasir ki haqiqat kitni
ye bhi ghar Dub gaya dida-e-KHun-bar pe KHak

pa-e-wahshat ne ajab naqsh banae the yahan
ai hawa-e-sar-e-sahra teri raftar pe KHak

ye ghazal likh ke harifon pe uDa di main ne
jam rahi thi mere aaina-e-ashaar pe KHak

ye bhi dekho ki kahan kaun bulata hai tumhein
mahzar-e-shauq paDho mahzar-e-sarkar pe KHak

aap kya naqd-e-do-alam se KHaridenge ise
ye to diwane ka sar hai sar-e-pindar pe KHak