jab wo nazren do-chaar hoti hain
tir si dil ke par hoti hain
ranjishen meri aur us gul ki
raat din mein hazar hoti hain
ishq mein be-hijabiyan dil ko
kya hi be-iKHtiyar hoti hain
tu jo jata hai bagh mein ai gul
bulbulen sab nisar hoti hain
qumriyan bandagi mein tujh qad ki
sar-ba-sar tauq-e-dar hoti hain
'aftab' us ke wasl ki baaten
bais-e-iztirar hoti hain
Ghazal
Jab wo nazren do-chaar hoti hain
Aftab Shah Alam Sani