اردو हिंदी
Jab wo na-mehrban nahin hota | Shaahi Shayari
jab wo na-mehrban nahin hota

Ghazal

Jab wo na-mehrban nahin hota

Jigar Jalandhari

;

jab wo na-mehrban nahin hota
aasman aasman nahin hota

hum zamane se kya umid karen
tu hi jab mehrban nahin hota

kahan aaram DhunDne jaen
kis jagah aasman nahin hota

meri nazron se dur rah kar bhi
wo nazar se nihan nahin hota

uzr ab kyun hai mujh se milne mein
main tere darmiyan nahin hota

us ko nazren bayan karti hain
jo zaban se bayan nahin hota

dard ka kya subut pesh karun
us ka koi nishan nahin hota

dair-o-kaba mein DhunDne walo
us ka jalwa kahan nahin hota

lakh aaram hon qafas mein magar
phir bhi wo aashiyan nahin hota

imtihan-e-wafa se baDh ke 'jigar'
koi bhi imtihan nahin hota