jab wo masrur nazar aata hai 
har taraf nur nazar aata hai 
main to mai-KHwar hun tu kyun saqi 
nashshe mein chur nazar aata hai 
qurb se hath uThaya main ne 
tu baDi dur nazar aata hai 
main hi tanha nahin dil ke hathon 
tu bhi majbur nazar aata hai 
KHaksari ko chhupane ke liye 
'wajd' maghrur nazar aata hai
        Ghazal
Jab wo masrur nazar aata hai
Sikandar Ali Wajd

