jab wo lab-e-nazuk se kuchh irshad karenge
hum ai dil-e-marhum tujhe yaad karenge
ab to ye taqaze hain kisi dushman-e-jaan ke
tum uf na karoge bhi to bedad karenge
hum aap jala lenge sarishk-e-sar-e-mizhgan
ab aap kahan tak sitam ijad karenge
ek dil ke ujaD jaane ka gham ho to kahan tak
aao ki gham-e-dil hi ko aabaad karenge
hum ahl-e-wafa teri jafaon pe jo chup hain
ji lenge to apne hi se fariyaad karenge
ye mez ye kursi ye kitaben ye khula-pan
chup chup se kisi shaKHs ko sab yaad karenge
Ghazal
Jab wo lab-e-nazuk se kuchh irshad karenge
Iqbal Mateen