اردو हिंदी
Jab wo but ham-kalam hota hai | Shaahi Shayari
jab wo but ham-kalam hota hai

Ghazal

Jab wo but ham-kalam hota hai

Dagh Dehlvi

;

jab wo but ham-kalam hota hai
dil o din ka payam hota hai

un se hota hai samna jis din
dur hi se salam hota hai

dil ko rokun ki chashm-e-giryan ko
ek hi KHub kaam hota hai

aap hain aur majma-e-aghyar
roz darbar-e-am hota hai

zist se tang hain na chheD hamein
dekh ghussa haram hota hai

lije musa se lan-tarani ki
ab to hum se kalam hota hai

'dagh' ka nam sun ke wo bole
aadmi ka ye nam hota hai