jab uThe tere aastane se
jaaniyo uTh gae zamane se
din bhala intizar mein guzra
raat kaTenge kis bahane se
jaan bhi kuchh hai jo na kije nisar
mar na jaenge us ke jaane se
ek us zulf se uThaya hath
chhaT gae lakhon shaKHsane se
koi mar jao kaam hai us ko
apni tarwar aazmane se
us ke tir-e-nigah ke aage
kuchh hamin ban gae nishane se
na-tawani tujhe ghazab aae
gae us ki gali ke jaane se
kahan bangala aur kahan main 'raza'
bas nahin chalta aab-o-dane se
Ghazal
Jab uThe tere aastane se
Raza Azimabadi