اردو हिंदी
Jab usne nahin dekha jab usko nahin bhai | Shaahi Shayari
jab usne nahin dekha jab usko nahin bhai

Ghazal

Jab usne nahin dekha jab usko nahin bhai

Khurshid Rabbani

;

jab us ne nahin dekha jab us ko nahin bhai
kis kaam ki aaraish kis kaam ki zebai

ye kar-e-mohabbat bhi kya kar-e-mohabbat hai
ek harf-e-tamanna hai aur us ki pazirai

ek pal ki masafat thi is dil se tere dil tak
is rah mein bhi lekin ek umr bita aai

jab koi use dekhe bas dekhta rah jae
ye husn ki KHubi hai ye husn ki yaktai

ye mauj-e-hawa yunhi itraati nahin phirti
us phul se mil aai KHushbu bhi chura lai

ek zard sa patta tha jab shaKH se bichhDa tha
main rah mein bikhra tha jab mauj-e-hawa aai