jab us ke hi milne se nakaam aaya
to ya-rab ye dil mera kis kaam aaya
kabhi us taghaful-manush ki taraf se
na qasid na nama na paigham aaya
sad-afsos dam apna nikla hai kis dam
ki jab ghar se ghar tak wo gulfam aaya
mujhe subh ko qatl kar wo masiha
jo ghar apne farKHanda farjam aaya
kisi ne meri baat bhi wan na puchhi
agarche har ek KHas aur aam aaya
gharaz phir usi ko jo yaad aai meri
to ghabra ke jis dam hui sham aaya
jalaya uThaya gale se lagaya
azizo phir aaKHir wahi kaam aaya
gai bewafai 'nazir' ab jahan se
wafa-dariyon ka bhi hangam aaya

Ghazal
Jab uske hi milne se nakaam aaya
Nazeer Akbarabadi