jab un se dosti na rahi dushmani rahi
bigDi to bigDi aur bani to bani rahi
sadma raha malal raha be-kasi rahi
lekin kisi ki yaad hamesha lagi rahi
kya kahiye dushmani rahi ya dosti rahi
bigDi to bigDi aur bani to bani rahi
phir us ko dost jaan raha hun hazar haif
mujh se tamam-umr jise dushmani rahi
pahlu hazar hum ne kiye garche iKHtiyar
lekin jo us ke dil mein Thani thi Thani rahi
aaina dekhta nahin apne se sharm hai
achchha hua jo mujh se use bad-zani rahi
yusuf ko din duaen zuleKHa ne saikDon
muhtaj ho gai bhi to dil ki ghani rahi
aashiq ko ku-e-yar se behtar maqam kya
diwana tha jo qais ki ban se bani rahi
tariki-e-mazar to mashhur baat hai
kuchh hum bhi DhunDh lenge agar raushni rahi
qadr-e-suKHan ke waste ab kya karun safi'
daDhi baDhai phir bhi wahi kam-sini rahi

Ghazal
Jab un se dosti na rahi dushmani rahi
Safi Aurangabadi