اردو हिंदी
Jab un ke pa-e-naz ki Thokar mein aaega | Shaahi Shayari
jab un ke pa-e-naz ki Thokar mein aaega

Ghazal

Jab un ke pa-e-naz ki Thokar mein aaega

Ramz Afaqi

;

jab un ke pa-e-naz ki Thokar mein aaega
kitna ghurur rah ke patthar mein aaega

sauda-e-ishq kahte hain ahl-e-KHirad jise
kya jaane kab ye wasf mere sar mein aaega

aisi jagah makan banana na tha mujhe
jangal tamam uD ke mere ghar mein aaega

mujh se nikal ke jaega qatil mera kahan
ek din to mere samne mahshar mein aaega

hum KHud hi kyun na kar len sitam jaan-e-zar par
kya is se farq shan-e-sitamgar mein aaega

sare hi aab-o-gil ke safar main ne kar liye
ab aasman bhi meri Thokar mein aaega

mausum hai jo zahr-e-halahal ke nam se
ab wo mere nasib ke saghar mein aaega

ye kya KHabar thi 'ramz' ki aazad hone par
sailab-e-KHun umaD ke har ek ghar mein aaega