اردو हिंदी
Jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the | Shaahi Shayari
jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the

Ghazal

Jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the

Noor Mohammad Yaas

;

jab tumhein dekha na tha aankhon mein kitne sae the
main usi din se akela hun ki jab tum aae the

aag bhaDki jab to main ye sochta hi rah gaya
kaghzi kapDe mujhe kis wahm ne pahnae the

jaane kis ne hum ko suraj se kiya tha munharif
jaane kis ne dhup mein wo aaine chamkae the

aasmanon se hua tha nur-o-nuzhat ka nuzul
aabshaar unche pahaDon se utar kar aae the

manzaron mein thi mere husn-e-nazar se aab-o-tab
pattharon ke dil mere ehsas ne dhaDkae the

aas ke sae mein hum sahte rahe kaisa azab
aag thi qadmon-tale aur sar pe baadal chhae the

dhup mein phaila diye kyun tum ne yaadon ke gulab
kya isi din ke liye mujh se ye KHat likhwae the