jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai 
aur phir ishq wahi koh-e-giran khenchta hai 
kisi dushman ka koi tir na pahuncha mujh tak 
dekhna ab ke mera dost kaman khenchta hai 
ahd-e-fursat mein kisi yar-e-guzashta ka KHayal 
jab bhi aata hai to jaise rag-e-jaan khenchta hai 
dil ke TukDon ko kahan joD saka hai koi 
phir bhi aawaza-e-aina-garan khenchta hai 
intiha ishq ki koi na hawas ki koi 
dekhna ye hai ki had kaun kahan khenchta hai 
khinchte jate hain rasan-basta ghulamon ki tarah 
jis taraf qafila-e-umr-e-rawan khenchta hai 
hum to rahwar-e-zabun hain wo muqaddar ka sawar 
KHud hi mahmez kare KHud hi inan khenchta hai 
rishta-e-tegh-o-gulu ab bhi salamat hai 'faraaz' 
ab bhi maqtal ki taraf dil sa jawan khenchta hai
 
        Ghazal
Jab tujhe yaad karen kar-e-jahan khenchta hai
Ahmad Faraz

