jab tujh araq ke wasf mein jari qalam hua
aalam mein us ka nanw jawahar-raqam hua
nuqte pe tere KHal ke bandha hai jin ne dil
wo daere mein ishq ke sabit-qadam hua
tujh fitrat-e-buland ki KHubi kun likh qalam
mashhur jag ke bich atarad-e-raqam hua
taqat nahin ki hashr mein howe wo dad-KHwah
jis be-gunah pe teri nigah sun sitam hua
be-minnat-e-sharab hun sarshaar-e-imbisat
tujh nain ka KHayal mujhe jam-e-jam hua
jin ne bayan likha hai mere rang-e-zard ka
us kun KHitab ghaib sun zarrin-raqam hua
shohrat hui hai jab se tere sher ki 'wali'
mushtaq tujh suKHan ka arab ta ajam hua
Ghazal
Jab tujh araq ke wasf mein jari qalam hua
Wali Mohammad Wali