jab to main hun aah mein aisa asar paida karun
ai sitamgar tere dil mein apna ghar paida karun
yan to ye aadat hai kis kis ka karega tu ilaj
roz bimari se main do chaar agar paida karun
ye taghaful wasl ki shab puchhte hain mera haal
ab duaen mang kar dard-e-jigar paida karun
aankh uTha kar jis taraf dekhun wahi aae nazar
aankh wo paida karun aur wo nazar paida karun
fikr se izaon ki ulTi suna jae hain ghair
aisa dil paida karun aur wo jigar paida karun
jo tumhein manzur hai wo kah na do kyun chup raho
phir KHata meri koi hujjat agar paida karun
teri furqat main gawara kar sakunga kis tarah
kis ka dil laun kahan se ye jigar paida karun
hae dil ranjish ka sadma ek-dam uThta nahin
KHud manaen wo main itni baat gar paida karun
kuchh ruka dekha jo mujh ko to suna kar ye kaha
ye to achchhi Thahri ab logon ka Dar paida karun
main hi hun mujh sa agar DhunDo jahan mein mubtala
tu hi ho tujh sa hasin duniya mein gar paida karun
achchha achchha dar ko kar lo band mujh ko dekh kar
sar ko Takraun abhi diwar-o-dar paida karun
sab kuchh aata hai magar yan aql hairan hai meri
tere dil mein rah kyun-kar fitnagar paida karun
ab teri jhuTi lagawaT mein na aaunga kabhi
muft iza paun nahaq dard-e-sar paida karun
kahte hain kya tujh pe guzri thi mere jaane ke baad
kya bataun kaise wo waqt-e-sahar paida karun
kyun 'nizam' us waqt to tum man jaoge mujhe
dosti us dushman-e-jaan se agar paida karun
Ghazal
Jab to main hun aah mein aisa asar paida karun
Nizam Rampuri