jab teri yaad ke jugnu chamke
der tak aankh mein aansu chamke
saKHt tarik hai dil ki duniya
aise aalam mein agar tu chamke
hum ne dekha sar-e-bazar-e-wafa
kabhi moti kabhi aansu chamke
shart hai shiddat-e-ehsas-e-jamal
rang to rang hai KHushbu chamke
aankh majbur-e-tamasha hai 'faraaz'
ek surat hai ki har su chamke
Ghazal
Jab teri yaad ke jugnu chamke
Ahmad Faraz