jab tere KHwab se bedar hua karte the
hum kisi ranj se do-chaar hua karte the
aaine chashm-e-tahayyur se hamein dekhte the
hum ki jab tere giraftar hua karte the
aaj malum hua teri zarurat hi na thi
hum yunhi tere talabgar hua karte the
ab to hum roz unhen panw tale raundte hain
ye hi raste the jo dushwar hua karte the
daulat-e-ishq se hum kaam chalate the miyan
bas yahi dirham-o-dinar hua karte the
barha yun bhi hua Dube hue KHwab mere
us ki aankhon se numudar hua karte the
aap hi aap kahani se nikalte jate
jo mere jaise adakar hua karte the
lo ki hum bojh uThate hain zamin se apna
hum kabhi is pe bahut bar hua karte the
aaj jo log KHaridar hain tere 'azhar'
kal yahi mere KHaridar hua karte the
Ghazal
Jab tere KHwab se bedar hua karte the
Azhar Abbas