jab tera intizar hota hai
dil bahut be-qarar hota hai
dil pe chalta hai iKHtiyar un ka
jab ye be-iKHtiyar hota hai
ishq hota hai husn ka ham-sar
jab ye KHud iKHtiyar hota hai
wo mujhe be-qarar karne ko
pahle KHud be-qarar hota hai
hirs-e-shohrat nahin to rona kyun
nala bhi ishtihaar hota hai
dost kah kar na de fareb ai dost
dost par e'tibar hota hai
naznin hain kab aise log safi'
jin ka ehsan bar hota hai

Ghazal
Jab tera intizar hota hai
Safi Aurangabadi