اردو हिंदी
Jab tilism-e-asar se nikla tha | Shaahi Shayari
jab tilism-e-asar se nikla tha

Ghazal

Jab tilism-e-asar se nikla tha

Hamid Jeelani

;

jab tilism-e-asar se nikla tha
zahr-e-shirin samar se nikla tha

uD gae aandhiyon mein jab patte
KHun kitna shajar se nikla tha

mujh se puchha usi ne mera pata
DhunDne jis ko ghar se nikla tha

dhup chamki to mehman ki tarah
saya diwar-o-dar se nikla tha

log soe paDe the aur KHurshid
hajla-e-abr-e-tar se nikla tha