jab tegh ko pakaD wo KHunKHar ghar se nikla
tab main bhi jaan se ho bezar ghar se nikla
har mu-kamar ke sau sau bal paD gae kamar mein
paTka jo bandh kar wo bal-dar ghar se nikla
kushte ko tere dar se afsos le gae kal
aur tu na ek qadam bhi ai yar ghar se nikla
chhoDa na jab gareban dast-e-junun ne mera
tab chir kar main us ko na-chaar ghar se nikla
rauzan se us ne upar mujh ko khaDe jo dekha
khankhaar kar wahin wo ayyar ghar se nikla
us but ke dekhne ko kar tark din-o-iman
main Dal kar gale mein zunnar ghar se nikla
chehron pa aashiqon ke zardi si phir gai tab
jab bandh wo basanti dastar ghar se nikla
logon ke KHauf se phir kal shab ko meri KHatir
lachaar phand kar wo diwar ghar se nikla
wo shah-e-husn mere is mulk-e-dil pe yaro
jis dam ki dauDne ko yalghaar ghar se nikla
khol aah ka alam aur le ashk ke qashon ko
yun main bhi ho ke is dam tayyar ghar se nikla
kuchh to asar kiya hai dil ki tere kashish ne
paDhta jo wo 'sulaiman' ashaar ghar se nikla
Ghazal
Jab tegh ko pakaD wo KHunKhaar ghar se nikla
Nawab Sulaiman Shikoh