jab tawaqqo ka silsila TuTa 
KHush-gumani ka daera TuTa 
nind TuTi to KHwab TuT gae 
aks bikhra jab aaina TuTa 
aaj phir justuju ki maut hui 
aaj phir mera hausla TuTa 
tabsira zindagi pe kya kije 
jaise pani ka bulbula TuTa 
aaj 'mahwar' hai is qadar tanha 
jaise KHud se bhi rabta TuTa
        Ghazal
Jab tawaqqo ka silsila TuTa
Mehwar Noori

