jab tasawwur mein na paenge tumhein
phir kahan DhunDne jaenge tumhein
tum ne diwana banaya mujh ko
log afsana banaenge tumhein
hasrato dekho ye virana-e-dil
is nae ghar mein basaenge tumhein
meri wahshat mere gham ke qisse
log kya kya na sunaenge tumhein
aah mein kitna asar hota hai
ye tamasha bhi dikhaenge tumhein
aaj kya baat kahi hai tum ne
phir kabhi yaad dilaenge tumhein
'saif' yun chhoD chale ho mahfil
jaise wo yaad na aaenge tumhein
Ghazal
Jab tasawwur mein na paenge tumhein
Saifuddin Saif