اردو हिंदी
Jab tan na raha mera hun wasil-e-jaanana | Shaahi Shayari
jab tan na raha mera hun wasil-e-jaanana

Ghazal

Jab tan na raha mera hun wasil-e-jaanana

Wali Uzlat

;

jab tan na raha mera hun wasil-e-jaanana
diwar ke girne se ham-saya ho ham-KHana

aaine mein dekh aa kar munh apna ai jaanana
ta-qadr meri jaane kash apna ho diwana

us zulf mein kai din se betabi-e-dil gum hai
zanjir jhanakti nain kya mar chuka diwana

bijli mere nale ki jun chamke to mund aankhen
ai aashna aage tu itna na tha begana

dil sharm-e-mohabbat se tar hai tu na pher aankhen
kyunkar pise chakki mein bhiga hua hai dana

'uzlat' gaya aankhon se is waste ji us ka
hai shama ki chashm-e-tar turbat-gah-e-parwana