jab tan na raha mera hon wasil-e-jaanana
diwar ke girne se ham-saya ho ham-KHana
aaine mein dekh aa kar munh apna ai jaanana
ta-qadr meri jaane kash apna ho diwana
us zulf mein kai din se betabi-e-dil gum hai
zanjir jhanakti nahin kya mar chuka diwana
bijli mere nale ki jon chamke to munde aankh
ai aashna aage tu itna na tha begana
dil sharm-e-mohabbat se tar hai to na pher aankhen
kyun kar pise chakki mein bhiga hua hai dana
'uzlat' gaya aankhon se is waste ji us ka
hai shama ki chashm-e-tar turbat-gah-e-parwana
Ghazal
Jab tan na raha mera hon wasil-e-jaanana
Wali Uzlat