اردو हिंदी
Jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak | Shaahi Shayari
jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak

Ghazal

Jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak

Meer Hasan

;

jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak
le ye naKHchir hi aa pahuncha tere tir talak

dast-o-pa mare bahut chah-e-zanaKH mein dil ne
hath lekin na gaya zulf ki zanjir talak

shukr-sad-shukr ki uqde yun hi hal hote gae
kaam pahuncha na hamara kabhi tadbir talak

us ki surat ka diwana hun ki jis ka KHat-o-KHal
na gaya mani-o-bahzad ki tahrir talak

hai yahi shauq shahadat ka agar dil mein to ishq
le hi pahunchega hamein bhi teri shamshir talak

ek musalman ka ji jata hai ulfat mein teri
ja kahe koi ye us kafir-e-be-pir talak

jab talak zar hai to sab koi hai phir koi nahin
sach hai makkhi bhi rahe hai shakar-o-shir talak

is tarah baiTh gaya KHana-e-dil mera ki bas
kaam phir us ka na pahuncha kabhi tamir talak

KHun ho ho ke Tapakta hai ye sau rang se dil
ta kisi rang mein pahunche teri taswir talak

main bhi ek mani-e-pechida ajab tha ki 'hasan'
guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak