jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai
tirgi lakh ho imkan-e-sahar baqi hai
kis ke jalwon ka ye aankhon mein asar baqi hai
husn baqi hai na ab husn-e-nazar baqi hai
ye bhi ek moajiza-e-josh-e-junun hai ki nahin
pa-shikasta hun magar azm-e-safar baqi hai
ye bhi kiya nazm-e-jahan hai ki azal se ab tak
bas wahi silsila-e-sham-o-sahar baqi hai
aaj yun aabla-payan-e-junun guzre hain
ek charaghan sa sar-e-rah-guzar baqi hai
main KHizan-dida-o-awara sahi phir bhi 'surur'
mere naghmon mein bahaaron ka asar baqi hai
Ghazal
Jab talak raushni-e-fikr-o-nazar baqi hai
Suroor Barabankvi