jab tak wo shoala-ru mere pesh-e-nazar na tha
main aashna-e-lazzat soz-e-jigar na tha
eazaz-e-rang-o-bu se nawaza gaya use
jis gul ke sar pe saya-e-shaKH-e-shajar na tha
afsos aap se na hua azm-e-iltifat
warna mera pahaD ki choTi pe ghar na tha
jo aasman ki jhil mein chamka tamam raat
wo tera ak-e-naqsh-e-qadam tha qamar na tha
shabnam se tar tha mere sirhane ka surKH phul
lekin abhi to raat ka pichhla pahar na tha
guzri hai yun uThae hue zindagi ka bojh
jaise main koi pul ka sutun tha bashar na tha
Ghazal
Jab tak wo shoala-ru mere pesh-e-nazar na tha
Asad Jafri