اردو हिंदी
Jab tak tujhko maut na aae kar le rain-basera baba | Shaahi Shayari
jab tak tujhko maut na aae kar le rain-basera baba

Ghazal

Jab tak tujhko maut na aae kar le rain-basera baba

Shams Ramzi

;

jab tak tujh ko maut na aae kar le rain-basera baba
aati jati is duniya mein kya mera kya tera baba

ganw mein sandhya ho ke ye kya hai band hue hain sab darwaze
beri jag mein tak mein hai ab ek ek sain luTera baba

ek siyasi chaal ki KHatir kitna bhayanak qatl hua hai
purab pachchhim utar dakhkhin nikla surKH sawera baba

bahne wali nadiya ko bhi kab is ka ehsas hua hai
kitni kheti nashT hui hai jab is ne ruKH phera baba

us ke raushan mukhDe par ye bikhri bikhri kali zulfen
jaise jag ke ujiyaron par chhae ghor andhera baba

koi nahin tha isthapit to is mein the sannaTe gahre
mere man mandir mein aa kar kis ne shor bikhera baba

din dharam ke panDit mulla achchhe Thekedar bane hain
chal kar dur kahin basti se Dalen apna Dera baba

chhoTi chhoTi bundon hi se tal-talaiyan ban jati hain
chhoTe chhoTe phal wala hi dekha peD ghanera baba

rup na tum ne mujh ko dikhaya shams' pe karte dan hi kuchh to
barson tumhaari is nagri mein mangta ban kar Thera baba