اردو हिंदी
Jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi | Shaahi Shayari
jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

Ghazal

Jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi

Faiz ul Hasan

;

jab tak mizaj-e-dost mein kuchh barhami rahi
goya bujhi bujhi si meri zindagi rahi

jis par nigah-e-lutf-e-karam aap ki rahi
hairat se har nigah use dekhti rahi

go main raha kashakash-e-dauran se ham-kanar
lekin mere labon pe hansi khelti rahi

laya hai ishq ne mujhe aise maqam par
KHud-agahi rahi na KHuda-agahi rahi

josh-e-junun ne manzil-e-maqsud pa liya
aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi

sab kuchh mujhe 'KHayal' ki duniya mein mil gaya
lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi