jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti
hon pyar ki baaten bhi to lazzat nahin milti
aaram ghaDi-bhar kisi karwaT nahin milta
rahat kisi pahlu shab-e-furqat nahin milti
jab tak wo khinche baiThe hain dil un se ruka hai
jab tak nahin milte wo tabiat nahin milti
jite hain to hoti hai un aankhon se nadamat
marte hain to us lab se ijazat nahin milti
us zohd par nazan na ho zahid se ye kah do
tasbih phirane hi se jannat nahin milti
kya DhunDhte hain gor-e-ghariban mein wo aa kar
kis Kushta-e-raftar ki turbat nahin milti
kis tarah mere ghar wo 'hafiz' aaen ki un ko
ghairon ki mudaraat se fursat nahin milti
Ghazal
Jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti
Hafeez Jaunpuri