jab tak hum hain mumkin hi nahin na-mahram mahram ho jaen
aata hai unhen ghussa aae hote hain wo barham ho jaen
duniya-e-masarrat ke lamhe ab is se kya kam ho jaen
honTon par hansi aane wali ho aankhen pur-nam ho jaen
hum us ke aankh se ojhal hone ka matlab kya lete hain
wo aankh se ojhal ho to nazare darham-barham ho jaen
haalat ko har har mauqa par ek bhes badalna lazim hai
kanTon mein daman ban jaen phulon par shabnam ho jaen
us kafir aisi mastana raftar kahan se laenge
ashaar mujassam ho jaen afkar munazzam ho jaen
un ki rahmat se dur nahin lekin is par majbur nahin
ighmaz karen har laghzish par sajdon par barham ho jaen
ahbab ko aise gulshan mein fitne baune se kya hasil
jab do dil mohkam ho jaen jab wade paiham ho jaen
us waqt bhi zohd-o-taqwa par qaem rah jaun tab kahna
jis waqt mujhe mai-noshi ke asbab faraham ho jaen
samjho ki jawani KHwab mein hai ruKH banhon ki mehrab mein hai
jab tare dhime paD jaen jab shamen maddham ho jaen
un KHwab-aluda aankhon ki tarkib samajh mein aa jae
ai 'shad' agar paimanon mein mai-KHane mudgham ho jaen
Ghazal
Jab tak hum hain mumkin hi nahin na-mahram mahram ho jaen
Shaad Aarfi

