jab tak ghubar-e-rah mera ham-safar raha
rasta to tha tawil magar muKHtasar raha
har chand ho gaya hai surayya se bhi buland
lekin shajar jafa ka sada be samar raha
ahl-e-junun ne toD diye wo hisar bhi
hosh-o-KHirad ka tesha jahan be-zarar raha
ye mai-kada hai jae ibaadat hai rind ki
duniya ka har fareb yahan be asar raha
fasl-e-KHizan mein is ka koi tazkira nahin
sadiyon talak bahaar ka jo rahbar raha
Ghazal
Jab tak ghubar-e-rah mera ham-safar raha
Ahmad Shahid Khan