jab tak gham-e-ulfat ka unsur na mila hoga
insan ke pahlu mein dil ban na saka hoga
main aur tera sauda tu aur ye istighna
shayad mujhe fitrat ne majbur kiya hoga
ek daera zarron ka KHurshid-e-tariqat tha
shayad wo tumhaara hi naqsh-e-kaf-e-pa hoga
tum dard ke KHaliq ho main dard ka banda hun
jab nam liya hoga dil tham liya hoga
'simab' jab is dil mein taswir nahin un ki
ye aaina dhundla hai ye aaina kya hoga
Ghazal
Jab tak gham-e-ulfat ka unsur na mila hoga
Seemab Akbarabadi