اردو हिंदी
Jab tak apne dil mein un ka gham raha | Shaahi Shayari
jab tak apne dil mein un ka gham raha

Ghazal

Jab tak apne dil mein un ka gham raha

Ahsan Marahravi

;

jab tak apne dil mein un ka gham raha
hasraton ka raat din matam raha

hijr mein dil ka na tha sathi koi
dard uTh uTh kar sharik-e-gham raha

kar ke dafn apne parae chal diye
bekasi ka qabr par matam raha

saikDon sar tan se kar Dale juda
un ke KHanjar ka wahi dam-KHam raha

aaj ek shor-e-qayamat tha bapa
tere kushto ka ajab aalam raha

hasraten mil mil ke rotin yas se
yun dil-e-marhum ka matam raha

le gaya ta ku-e-yar 'ahsan' wahi
muddai kab doston se kam raha