jab taaruf se be-niyaz tha main
koi zahid na 'sarfaraaz' tha main
jab hua aashkar tab jaana
apne bare mein koi raaz tha main
ab to sanson mein bhi nahin tartib
pahle waqton mein nai-nawaz tha main
ai meri intiha-e-barbaadi
kis qadar mubtala-e-naz tha main
sab ko qudarat thi KHush-kalami par
KHamushi mein zaban-daraaz tha main
bhul jata hai ab duaon mein
pahle jis ke liye namaz tha main
Ghazal
Jab taaruf se be-niyaz tha main
Sarfraz Zahid