اردو हिंदी
Jab suKHan mauj-e-taKHayyul se rawani mange | Shaahi Shayari
jab suKHan mauj-e-taKHayyul se rawani mange

Ghazal

Jab suKHan mauj-e-taKHayyul se rawani mange

Nau Bahar Sabir

;

jab suKHan mauj-e-taKHayyul se rawani mange
mujh se har lafz nai ruh-e-maani mange

dil wo diwana ki dariya se tu pyasa lauTe
samne mauj-e-sarab aae to pani mange

hafiza zehn ka dar band kiye baiTha hai
dil bahalne ko koi yaad purani mange

husn sar-ta-ba-qadam turfa-adai chahe
ishq ta-hadd-e-yaqin sada-gumani mange

aaina dekhun to 'sabir' ye guman hota hai
aks mujh se wo KHat-e-KHal-e-jawani mange