اردو हिंदी
Jab subh ka manzar hota hai ya chandni-raaten hoti hain | Shaahi Shayari
jab subh ka manzar hota hai ya chandni-raaten hoti hain

Ghazal

Jab subh ka manzar hota hai ya chandni-raaten hoti hain

Shamim Jaipuri

;

jab subh ka manzar hota hai ya chandni-raaten hoti hain
us waqt tasawwur mein un se kuchh aur hi baaten hoti hain

jab dil se dil mil jata hai wo daur-e-mohabbat aah na puchh
kuchh aur hi din ho jate hain kuchh aur hi raaten hoti hain

tufan ki maujon mein ghir kar pahuncha bhi hai koi sahil tak
sab yas ke aalam mein dil ko samjhane ki baaten hoti hain

kyun yaad 'shamim' aa jate hain wo apni mohabbat ke lamhe
jab ishq ke qisse sunta hun jab husn ki baaten hoti hain