اردو हिंदी
Jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat | Shaahi Shayari
jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat

Ghazal

Jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat

Arjumand Bano Afshan

;

jab sitaron ki rida kandhe se sarkati hai raat
chand ke sine se lag kar nur ban jati hai raat

KHud taDap kar kis qadar mujh ko bhi taDpati hai raat
ashk-e-shabnam jab meri haalat pe barsati hai raat

KHun-e-dil de kar ufuq rangin kar jati hai raat
raushni hone se pahle qatl ho jati hai raat

subh-e-nau se kis liye is darja ghabraati hai raat
dekh kar KHurshid ko jaane kidhar jati hai raat

tirgi-e-hijr ko had se baDha jati hai raat
aap ke aane se pahle kyun chali aati hai raat

main nazar ban jaun to taswir ban jati hai raat
un ki yaadon ke diye ki lau baDha jati hai raat

din guzar jata hai 'afshan' mahfil-e-ahbab mein
qasr-e-tanhai mein chupke se chali aati hai raat