jab sin dekha hun yar ki surat
gul kun bujha hun KHar ki surat
kyun na hue qatl dam-ba-dam aashiq
hain bhawen zul-fiqar ki surat
mujh kun aaina-e-tasawwur hai
dilbar-e-gul-ezar ki surat
dil ne mere kiya hai tauq-e-gulu
zulf-e-gul-ru hai haar ki surat
na-umidi mein jalwa-e-didar
hai KHizan mein bahaar ki surat
safha-e-dil pe sina-chaakon ke
naqsh hai us nigar ki surat
kaghaz-e-abr par likha hai 'siraj'
dida-e-ashk-bar ki surat
Ghazal
Jab sin dekha hun yar ki surat
Siraj Aurangabadi