jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila
ab kinare pe bhi aae to kinara na mila
be-sahaaron ko kahin koi sahaara na mila
koi tufan na mila koi kinara na mila
hath uTThe hi nahin saghar o mina ki taraf
hum ko jab tak teri aankhon ka ishaara na mila
chal na sakta tha kabhi ahl-e-hawas ka jadu
tujh ko ai dost koi ishq ka mara na mila
jis ne dekha hamein dushman ki nazar se dekha
teri mahfil mein koi dost hamara na mila
maut behtar hai 'shamim' us ke liye jine se
jis ko jine ke liye koi sahaara na mila

Ghazal
Jab shikayat thi ki tufan mein sahaara na mila
Shamim Jaipuri