jab sham hui main ne qadam ghar se nikala
Duba hua KHurshid samundar se nikala
har-chand ki is rah mein tahi-dast rahe hum
sauda-e-mohabbat na magar sar se nikala
jab chand numudar hua dur ufuq par
hum ne bhi pari-zad ko patthar se nikala
dahka tha chaman aur dam-e-subh kisi ne
ek aur hi mafhum gul-e-tar se nikala
us mard-e-shafaq-fam ne ek ism paDha aur
shahzadi ko diwar ke andar se nikala

Ghazal
Jab sham hui maine qadam ghar se nikala
Sarvat Husain