jab shaKH-e-gul chaTaKH ke giri raaz ki tarah
KHushbu ka dil laraz uTha aawaz ki tarah
wo dhul jis ko di na kisi shahar ne aman
lipTi hui hai panw se dam-saz ki tarah
itna hawas-gir tha suraj ka iztirab
manzar badal gae tere andaz ki tarah
panw tale zamin nahin lekin KHalaon se
rishta mila raha hun rag-e-saz ki tarah
is munjamid sukut mein 'KHalid' meri sada
pathra gai hai hasrat-e-parwaz ki tarah

Ghazal
Jab shaKH-e-gul chaTaKH ke giri raaz ki tarah
Khalid Shirazi